Hello dosto. My name is Pradip Mandal- https://helpchahiye.com/ par aapka swagat hai. Aaj is article me mai aapko batane wala hu ki Android Phone Format Kaise Kare. Android ki language me Formatting ko Factory Data Reset kaha jata he. Yeh features har phone me diya jata hai, taki kyi problems hone par usko theek kiya sakhe. Mobile Format Kaise Kare in Hindi
Format ya Factory Reset ek aisa tarika he jiske madat se aap apni phone ko ekdum pahle jesa kar sakte ho. I mean Phone ki Settings new phone jaisa hi kar sakte ho. Jab aapne phone ko kharida tha tab jaisi thi theek usi Position par chala jayega mobile ko format karne se. Mobile kharidne ke bad apne mobile par jitne bhi App install kiya he woh sab delete ho jayega. Aapko aaps phir se install karna hoga.
Ab sawal uthate he ki konsi problems ko Solve ya Theek karne ke liye mobile Format/Reset kiya jata hai aur mobile Reset karne se mobile me kiya kiya changes aati hai. in sab chizo ke bare me details niche bataya he. Mobile Format karne se pahle inhe jorur padhle.
Mobile Format Kab aur Kiu Kare
- 1. Agar aapke mobile me Hanging problems hai, atak atak kar chalti he to aap mobile ko Factory Reset Data karle. i mean Format karle, isse aapka phone pehle se better perform karega.
- 2. Agar apko lagta he ki apka phone pahle se kafi slow ho gaya he to aap phone ko Hard Reset yani ki Format kar sakte ho.
- 3. Apke phone me kyi virus aya gaya he to aap mobile ko Format kar sakte ho.
- 4. Agar apne phone ki Setting me kuch garbar kar diya he aur aap usko theek nehi kar paya rahe ho to phone Reset karde. Is se phone setting pehle jesa ho jeyega.
Format Karne Se Mobile Kiya Changes Aati Hai
- 1. Mobile me aapne jitne bhi aaps install kiye the woh sab delete ho jayega. Is liye format karne se pahle important Apps ki Backup banake rakhe.
- 2. Mobile me save sare Contract aur Sms delete ho jayega. is liye jorori chizo ko Note ya Backup banake rakhe.
- 3. Internal memory me save sare data jese ki Audio song, video song and image delete ho jayega..
- 4. Mobile me Login sare account Logout ho jayega
Mobile Format Kaise Kare
Android phone Format karne ki tarik maine niche step by step details me image ke sath bataya hai. aap in step ko follow karke asani se aapni phone ko format kar sakte ho.
Step-1:- Phone format karne ke liye aapko sabse pahle mobile ki Settings me jana hoga.
Step-2:- Mobile settings me jake aapko Backup & Reset par click karna hai.
Step-3:- Ab backup and reset ka page ayeg. Aap niche screenshot me dekh sakte ho.
1. Back up My Data- is option ko enable karne se aapki data Google Account me backup ho jayega.
2. Automatic Restore- ye option enable karne se aapki backup huya data Formatting ke bad Automatically Restore ho jayega aapke phone me.
3. Factory Data Reset- mobile ko Format karne ke liye Factory data reset par click kare.
Step-4:- Ab apko RESET PHONE par click karna hoga.
Step-5:- Yeha par aapki Mobile Password enter kare aur NEXT par click karde.
Step-6:- Ye final step he. Mobile ko format karne ke liye ERASE EVERYTHING par click kare. erase everything par click karte hi Mobile Formatting start ho jayaga.
Mobile Format hone me 5min ka time lag sakta hai. Formatting process me mobile switch off ho jayega aur automatically Switch On bhi ho jayega. Format complete hote hi aapko mobile se kuch Basic settings karna hoga. jese ki Language, sim, name and password.
To apne dekha ki kaise mobile ko format kiya jata hai. format karte time aapko kyi problems aati hai to comment karke bataye. ya kisi topic ke bare mai jankari chahaiye to bhi comment karke bata sakte ho. Post ko padhne ke liye bohot bohot Thank You.
https://youtu.be/jUwwyAfrln4
Watch this with full description in video
Good job sir salute hai apko
Thank You ABU SALMAN ANSARI
Mera name Jitendra
Mera mobile htc 526g plus hai
Esko factory reset karne par
Nahi ho rha hai
Setting unfortunately bta rha hai
Sir please help me