Har blogger chata he unka blog/website Google search me dikhe. Kyu ki 98% Log aapna problems ka solution Google par search karta he, aur baki 2% others search engines me jese ki Bing, Yahoo etc. Aise me agar apka blog aur blog article Google search results me show nehi hoga to aapke Blog traffic na ke bara bar honge. Aur aapko to pata hi he traffic nehi aayega to Income bhi nhi hoga. Is liye Blog ko Google search engines me submit karna bahut jaruri hota he. Search Engine Me Blog/Website Submit Kaise Kare.
Blog Aur blog article ko Google search me lane ke liye hume Google Search Console aur Webmaster Tool par Blog URL submit karna hoga. Google Search Console par blog URL submit karne ke bad Search Console se hum aur bhi bahut kuch kar sakte he, jese ki- Google search engine ko manage kar sakte he, Blog Sitemap add kar sakte, Google se blog par kitne click milta he woh dekh sakte ho, Hamara blog article Google search me kis position par show hoti he dekh sakte he, New article ko Google search engine me submit kar sakte he Aur bhi bahut kuch hum Google search console ke madat se kar sakte he. Ek word me kahe to Google search engine ko Manage aur Blog ke performance dekh sakte ho.
Google Search Engine Me Blog URL Submit Kaise Kare
Google search results me Blog ko lane ke liye Hume Google Webmaster Tool me blog URL submit karna hoga. Blog URL submit karne ke liye aap hume step to step follow kare-
Step-1:- Google me blog submit karne ke liye sabse pehle aap Search Console page pe jakar Gmail id se sing in kare. Sing in karne ke bad jo page open hogi woha par Blog URL submit kare. Niche image me dekhe-
- 1) Box me aapka Blog URL dale. Photo me aap mera URL dekh sakte ho- www.helpchahiye.com
- 2) Yeha Tick karke Verify karna hoga. Tick ke jage click karte hi ek Pop-up windows page open hoga. Usme aapko kuch Photos choose karke verify karna hoga. Sahi photos choose karke verify par click kare. Verify hone ke bad yeha Tick ayega.
- 3) abhi Submit Request par click Kare. Submit request pe click karne ke bad ek massage show hogi.
Step-2:- ab aap Search Console page pe jakar Gmail I’d se sing In kare.
Step-3:- Search console me sing in karne ke bad Jo page open hoga usme aapna Blog URL dal kar ADD A PROPERTY pe click kare.
Step-4:- ab apko ownership verify karna hoga. Iska matlab he aap jis site URL submit kar rahe ho uske Owner aap hi he. Ownership verify karne ke liye hume follow kare-
- 1) Ownership verify karne ke liye Sabse pehle Altemate Methods section pe jaye.
- 2) Altemate Methods section me jakar HTML Tag pe click kare. HTML tag pe aapko ek code milega usko Copy karle. Us code ko hume blog pe add karna hoga.
- 3) HTML tag code ko Blog me add karne ke liye Blogger dashboard open karke Template Section me jake Edit HTML Pe click kare.
- 4) Edit HTML pe click karenge to aapko Blog template coding dikhega. Yeha aapko <head> tag ke niche Us code ko paste karna hoga jise aapne copy kiya he.Template coding me se <head> dhundne ke liye keyboard pe CTRL+F press karke Search box open kare.
- 5) Search box par <head> type karke search kare. Jab aapko <head> tag milega Tab aap uske niche Us Code ko past kare jisko aapne Ownership verify karne ke liye Copy kiya he. Code ko paste karne ke bad aap Template ko Save karde.
- 6) Ab aapko phirse Search Console ke Altemate section ke HTML tag pe jana hoga, jaha se aapne Code Copy kiye the. Ownership verify karne ke liye hamne HTML tag blogger template me past kardi he. Abhi hume Verify pe click karna hoga.
- 7) Verify pe click karne ke bad ek massage show hoga- Congratulations. You have successfully verified your Ownership of Your Blog URL. Is massage ke niche Continue he woha click kare.
(Ye massage HTML tag ko sahi jage Past karne ke bad hi show hoga. Agar code past karte time aapse kyi galti huya he to ye massage show nhi hoga aur aapko phirse code template ke <body> ke niche past karna hoga)
Step-5:- Continue pe click karne ke bad jo page open hoga usme aapke site ke name ka ek link hoga usme click Kare.
Is link ka aane ka matlab aapka Blog URL submit ho chuka he, ab aapko apne Blog ke kuch jaruri details dena hoga. Isse Google search engine ko Aapka Blog article dikhane me aasani hogi.
Step-6:- Apni site URL pe click karne ke bad Massage section pe click Kare. Massage section me apko ek massage dikhega uspe click kare.

- 1) Add all your website versions:- Yeha aapni site ka URL add kare.
- 2) Select Your Preferred Version:- Yeha apni site ka Preferred Version chune.
- 3) Select Target Country:- Yeha apni Country select kare. India me rehte he to India select kare.
- 4) Share access with co-workers:- Apki website ko aapke sath koi aur bhi manage karta he to yeha usko add kar sakte he.
- 5) Submit a Sitemap file:- Yeha apke site ka sitemap add kar sakte he. Sitemap add karna bahut jaruri hota he. Sitemap add karne ke liye aapko sabse pehle sitemap banani hogi. Yeha Click karke aap jan Sakte ho sitemap kaise banaye. Sitemap banane ke bad usko yeha par add karni hogi.
Toh friends aapne seekh liya Google Search Engine me blog/Website kaise submit kare. Google ke sath sath blog ko Bing aur Yahoo par bhi submit karna joruri hota he. Isse blog ki traffic increase hota he.
Bahut achi jankari hai sir
Hi very good post thanks for sharing
Bro mera blog to add hi nhi ho rha koi hlp kro na plz ye jo step h website adding msg bala usme msg ara h ki ye only own website user k liye h
Helpchahiye@gmail.com par mail kare
Bro, mene apni site par cloudflare ka https lgaya hai aur isko search console me add bhi kar diya hai. kisi ne mujhe btaya tha ki google me aapko apni website ko 4 style se add krna hota hai, essliye mene- http:// domain.com
http://www.domain.com
https://domain.com
https://www.domain.com
ko add kiya. mere url https ke hai to sitemap bhi usi ka add kiya hai.
BUT problem ye hai jo without https wali ke 128 url google me indexed hai unka kya kre. ab meri site par jo visiter aate hai unko wo search analytics me http://www.domain.com me show krta hai jbki mai chahta hun ki wo https:// wale me show kre
PLZ.aap mera paste kar do mera blog hai myknowledgeplateform.com
Muje mere email par contact karo. Helpchahiye@gmail.com
Ji haan sab se pahle maine property mai add kiya phir alternate pe click kiya phir tag ko copy kiya uske baad apne blog mai theme pe click kiya html edit kiya phir head ke niche paste kar diya save template pe click kiya phir wails search console mai verify pe click kiya lekin koi fayda nahi
Phir to ek hi karan ho sakta he code sahi jage paste na hona
Bhai mai bahut pareshan go gaya hun.maine apna blog ko search console mai baat baat add karta hun par hota nahi hai maine saare blogger ko follow kiya lekin koi fayda nahi mera help karo mere blog ka naam hai myknowledgeplateform.com
Search Console ke site par add karna padta he. Kiya aapne code aapni blog par add kiya tha.
Apki post se bahut sikhne ko milta hai
Thank you…Bheru Singh
Bahot hi achi jankari diya hai apne sir ji
https://helpzinhindi.wordpress.com
Thank you Bheru sing. Keep visiting
ye sab karne pe kab tab Google pe aa jayga
Hello Arid Ali. http://Www.helpchahiye.com par aapka swagat he.
Ali blog ya website ko Google search me lane ke liye Google Search Console submit karna padta he. Search Console me blog URL submit karne 1-2 DAYS bad Google search me apka blog show hone lagega.