Facebook duniya ka sabse popular social network site hai. Facebook account create karna jitna asan hai usse bhi jada asan hai Facebook par friends banana. Lekin jad baat aati hai ki Facebook Friends Ko Unfriend karne ka tab sab hat khiclete hai. Lekin main hat khichne walo main se nehi hu, HelpChahiye.com par main choti se choti chiz ki bhi jankari share karta hu. Aur aaj bhi main aapke liye Facebook related ek choti si article lekar aaya hu- Facebook Friends Ko Unfriend Kaise Kiya Jata hai. To friends last tak is article ko read kare yeha par main aapko Facebook Mobile App aur Computer dono se Facebook friends ko unfriends kaise kiya jata hai ye batane wala hu.
Aapko sayet pata nehi hai ki Facebook par hum 5,000 se jada friends nehi bana sakte. To agar apki Facebook account par total friends 5,000 ho chuka hai or aap aur bhi new friends add karna chahte ho to aapko kuch friends ko unfriend karna hoga. Unfriends karne ki jorurat sirf jada friends hone par nehi hota. Facebook par aise bohot si friends hai jo Gandi photos aur link share karte hai. Insab photos aur link se bachne ke liye aapko us friend ko unfriends karna hoga.
Facebook friends ko unfriend karna bohot hi easy hai. Aap asani se aapni friends ko unfriends kar sakte ho bagar kisi ke madat se. To friends is article ko last tak read kare, yeha par main aapko Facebook friends ko unfriend kaise kiye jata hai ye image ke sath batane wala hu.
Facebook Friends Ko Unfriend Kaise Kare
Facebook Friends ko unfriend karna bahut hi asan hai. aapko bas mere diye step ko follow karna hai. Yeha par mai aapko Facebook App aur Computer dono se Unfriend kaise kiye jata hai ye dikhne wala hu. to sabse pahle Fb App se-
Facebook App Se Friends Ko Unfriend Kaise Kiya Jata Hai
Step-1:- Sabse pahle Fb App open karke us friends ke Profile par jaiye jisko aap unfriend karna chahte ho.
Step-2:- Profile par jake ✔Friends par click kare. niche image me dekho-
Step-3:- Friends par click karte hi Unfriends ka option aayge uspar click karde. unfriends par click karte hi woh friends unfriends ho jayaga.
Computer Se Friends Ko Unfriend Kaise Kiya Jata Hai
Step-1:- Sabse pahle aapko Facebook.com par jakar apni Facebook Account ko login karna hoga.
Step-2:- Ab aap jisko ko Unfriends karna chahte ho uske Fb Profile ko open karke ✔Friends par click kare. Niche image me dekh sakte ho-
Step-3:- ✔Friends par click karte hi kuch option show hoga. Sabse last me Unfriends ka option he uspar click kare. Niche image me dekh sakte ho.
Unfriends par click karte hi woh friend unfriend ho jayega. matlab uske post aapki home par show nehi hoga.
Mai ummid karta hu ki is article ke madat se aap apni facebook friends ko asani se unfriend kar loge. phir bhi kyi problems aati he to comment karke bata skte ho. main aapki help jorur karuga. Article ko padhne ke niche bahut bahut Dhanyawad.
Koi aisa upay hai jisse jo mere friends hai unme kitna ka I'd band hai aur wo Like nhi krta
Kaise maloom kre ki kon kon fb use kr rha hai
Aur baki sb ko unfriend kaise kre
Iska kyi Shortcut tarika nehi hai
Ho sakta he ki woh friend aapko Messenger par block kar diya hai.
Aur jo Cancel request ka option is liye show ho raha he kyun ki usne aap Friends request accept nehi kiya hai.
meri ek friend hai jo facebook par mujhse naraz hai pahle wo jab bhi active hoti thi to mujhe pata chal jata tha lekin ab uska activation pata nahi chalta hai jab bhi mai use messenger pe msg. send karta hun to do ya teen dino ke baad mere bheje gaye msg ke paas uska ek chhota sa profile pic ajata hai aur jab mai uske profile mai jata hun to add frnd ki jagah par cancel request araha hai to kiya mera frnd mera msg dekhta hai.kiya usne mujhe block kar diya hai.please help kare
Ek girl hai Mai usko chahata hu….kisi baat pe fight ho gya or humko block kr di…..to hum us girl se kaise baat kre kaise massage kre usko
मेरे नाम से किसी ने फर्जी फ़ेसबु क आयडी बना ली है कृपया उसे डिलीट कैसे किया जा सकता है
aap facebook par report kar sakte ho