Hello Friends. My name is Pradip Mandal- www.HelpChahiye.com par apka swagat hai. Aaj is article me main aapko Amazon Password Change aur Password Reset karna seekhaunga. Amazon par shopping karne ke liye hume ek Amazon Account create karna padhta hai. Lekin regularly use na karne ke vajah se hum aakas Amazon ka password bhul jate hai. Amazon password bhul jane par next time hum jab amazon se kuch kharidne jate hai tab hum Amazon par Login nehi kar pate hai Kyuki hume to password yeed hi nehi hai. Iske yelaba hume kyi bar amazon password change karne ki bhi joroorat padta hai. To friends agar aap bhi apni Amazon password reset ya bhi change karna chahte ho to is article ko last tak read kare. Yeha par main apko Amazon password bhul jane par kaise usko reset karte hai iske bare main detail me bataunga. Amazon Password Reset Aur Change kare.
Aaj ke time me humare pas itna sara password hota hai ki unhe hamesha ke liye yeed rakh pana impossible hai. Facebook ka password, Gmail ka password, Twitter ka password, Instagram ka password, Amazon ka password, Netbanking ka password aur na jane kitne sare password yeed rakhna padta he hume. Mere sath bhi aisa aaksar hota hai, jab main amazon par login karne jata hu to password yeed hi nehi aati hai. Lekin muje is vajah se kabhi kyi nuksan nehi huya hai. Iska karan hai amazon password reset karne ka option, jiske madat se aap password ko asani se reset kar sakte hai.
Agar aap Amazon se regular shopping karte ho aur Amazon Pay ko kam me lete ho to aapko regularly amazon ka password change karte rahna chahiye, taki kyi hecker aapki Amazon account ko hack na kar paye. Agar aap amazon pay ke bare me nehi jante to main aapko iske bare me bhi baata deta hu. Amazon Pay amazon ka e-Wallet hai. Jese Paytm ka Paytm Wallet hota theek usi tarha amazon ka Amazon Pay. To friends niche maine Amazon password reset aur change kaise karte hai in dono ke bare me detail me bataya hai isko padhle.
Amazon Password Bhul Jane Par Password Reset Kaise Kare
Step-1:- sabse pahle aap Amazon App open karle aur Sing in/Log in section par jaiye. Yeha par Forgot Password? ka option hoga uspar click karde. Niche aap image pe dekh sakte ho.
Step-2:- Yeha par apko Mobile Number ya Email Address dena hoga. Aap jis Mobile Number/Email Id ko use karke Amazon account banaye the woh yeha par dalkar Continue par click karde.
Step-3:- Ab aap Set a new password ko select karke Continue par click karde.
Step-4:- Ab apke pas SMS/Email ke jariye ek Verification Code aayega. usko is page par enter karke Continue par click karde.
Step-5:- Yeha par aapni Full Name enter karke Continue par click karde.
Step-6:- Is page par aapko New Password dena hai. Dono box par same password enter karke Save Changes par click karde. Kyi common word ko password na banaye, Password hamesha strong rakhne ki koushis kare.
Congratulations! aapka amazon account ka password reset ho chuka hai. Ab aap new password se amazon par login kar sakte ho.
Amazon Password Change Kaise Kare
Step-1:- Sabse pahle aap Amazon App Open karke Menu par click karke Login & Security me jaye.
Step-2:- Ab jo page open hoga woha par Password ka option hoga, Password ke right side me Edit ka option hai uspar click karde
Step-3:- Is page par aapko Old password & New password dena hoga. First box par Old Password enter kare aur Second box par New Password enter kare, jo aap rakhna chahte ho. Dono box par password dene ke bad Save Changes par click karde.
Congratulations! aapka Amazon password change ho chuka hai.
To friends is article me maine aapko bataya ki Amazon password reset aur change kaise karte hai. Is article se related agar aapka kyi savaal ya sujhaav hai to comment karke joror bataye.