Aaj ke time me Online Shopping ek bahut hi common chiz hai. Humme se jada tar logo ke mobile me Flipkart, Amazon jese shopping app install hote hi hai. Online shopping karke ham jo product order karte hai kyi bar hume usko return karne ki jaroorat padta hai. Is wajah se aaj is post me mein aapko Amazon order return kaise kare iske bare me batane wala hu. Amazon ka order return karne ke piche bahut sare karan ho sakte hai jiske bare me mein aapko niche batane wala hu. Amazon par saman kaise wapis kare? yeh ek bahut hi common question hai jo muje har roj Facebook aur Mail ke jariye pucha jata tha. Amazon Me Return Kaise Kare Hindi me janne ke liye article ko pura padhe.
Ji ha amazon par kuch aise Product bhi hai jisko ek bar kharidne ke bad wapis nehi kiya sakta hai jese ki Software, Video Games (Console Games and PC Games), School Books Bundle, PC Components, Pet Supplies, Screen guards, screen protectors and tempered glasses. Iske yelaba Jewellery, Health & Personal Care, Gift Cards, Grocery & Gourmet jese chiz bhi wapis nhi ki ja sakti. Kon kon se product amazon par return nhi ki ja sakta iske bare me aor jada janne ke liye aap Amazon.in ke return page pe ja sakte ho- About Items That Can’t Be Returned. Jab aap amazon se kisi Product ko buy sakte ho tab aap check karle uspe Return available hai ya nhi.Jese ki aap sabhi ko pata hai Online shopping karte time hum sift Product ke Picture aur Specification hi dekh pate hai.
Is liye kyi bar delivery ke bad hume Product different lagne lagta hai ya phir aisa bhi ho sakta hai ki aapko kyi galat product deliver kar diya gaya hai. Aisa hone par aap Amazon se shopping kiya mobile ya kisi aur saman ko Return karke paise wapis le sakte ho ya Replace kar sakte ho. Kyi bar damage product bhi deliver ho jata hai aise hone par bhi aap us Product ko return karke paisa wapis le sakte ho.
Amazon Return Kaise Kare- अमेज़न आर्डर रिटर्न कैसे करे
Congratulations! aapki amazon Order return lene ki request submit ho chuka hai. Iske bad aapko amazon ke taraf se ek email aayega usme ek Label ka attach hoga isko print karke nikale. Jab courier boy order lene ke liye aayega tab uski jaroorat padhega. Amazon order return karne ke bare me agar aapka bhi confusation hai toh aap amazon Call Center me call karke puch sakte ho. Is article ko padhne ke liye dhanyawad.